Kyun Na Le Gulshan Se Baj Us Arghawan-sima Ka Rang

kyun na le gulshan se baj us arghawan-sima ka rang

gul se hai KHush-rang-tar us ke hinai pa ka rang

jun-hi munh par se uTha di bagh mein aa kar naqab

uD gaya rang-e-chaman dekh us ruKH-e-zeba ka rang

sar pe dastar-e-basanti bar mein jama qurmuzi

khub gaya dil mein hamare us gul-e-rana ka rang

aaj saqi dekh tu kya hai ajab rangin hua

surKH mai kali ghaTa aur sabz hai mina ka rang

de tu is abr-e-siyah mein jam jaldi se mujhe

dil bhara aata hai mera dekh kar sahba ka rang

jis taraf dekhun hun ab 'bedar' tere ashk se

ho raha hai surKH yaksar daman-e-sahra ka rang

(344) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kyun Na Le Gulshan Se Baj Us Arghawan-sima Ka Rang In English By Famous Poet Meer Mohammadi Bedar. Kyun Na Le Gulshan Se Baj Us Arghawan-sima Ka Rang is written by Meer Mohammadi Bedar. Read famous Poem Kyun Na Le Gulshan Se Baj Us Arghawan-sima Ka Rang for youth and Student by Meer Mohammadi Bedar. Free Download Kyun Na Le Gulshan Se Baj Us Arghawan-sima Ka Rang in PDF.