Lab-e-rangin Hain Tere Rashk-e-aqiq-e-yamani

lab-e-rangin hain tere rashk-e-aqiq-e-yamani

zeb deti hai tujhe nam-e-KHuda kam-suKHani

haar kal pahne the phulon ke nishan hai ab tak

KHatm hai gul-badanon mein teri nazuk-badani

sharm se aab hue nishkar-o-qand-o-nabaat

dekh kar ai shakarin-lab teri shirin-dahni

mewa-e-bagh-e-iram us ko na bhawe hargiz

taubar-e-bosa kiya jis ne wo seb-e-zaqni

jhuTe wade tere ai jaan karun sab bawar

dil shikasta na kare gar teri paiman-shikani

shama-ruyon se jise sham-o-sahar sohbat ho

hai saza-war use dawa-e-KHush-anjumani

is qadar mahke hai us kakul-e-mushkin ki shamim

justuju mein hue 'bedar' ghazal-e-KHutani

(278) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lab-e-rangin Hain Tere Rashk-e-aqiq-e-yamani In English By Famous Poet Meer Mohammadi Bedar. Lab-e-rangin Hain Tere Rashk-e-aqiq-e-yamani is written by Meer Mohammadi Bedar. Read famous Poem Lab-e-rangin Hain Tere Rashk-e-aqiq-e-yamani for youth and Student by Meer Mohammadi Bedar. Free Download Lab-e-rangin Hain Tere Rashk-e-aqiq-e-yamani in PDF.