Jis Din Tum Aa Ke Humse Ham-aghosh Ho Gae

jis din tum aa ke hum se ham-aghosh ho gae

shikwe jo dil mein the so faramosh ho gae

saqi nahin hai saghar-e-mai ki hamein talab

aankhen hi teri dekh ke behosh ho gae

sunne ko husn-e-yar ki KHubi ba-rang-e-gul

aaza mere badan ke sabhi gosh ho gae

karte the apne husn ki tarif gul-ruKHan

us lala-ru ko dekh ke KHamosh ho gae

ai jaan dekhte hi mujhe dur se tum aaj

ye kaun si ada thi ki ru-posh ho gae

rahte the be-hijab mere pas jin dinon

we roz hae tum ko faramosh ho gae

duniya o din ki na rahi hum ko kuchh KHabar

hote hi us ke samne behosh ho gae

'bedar' bas-ki roe hum us gul ki yaad mein

sar-ta-qadam sarishk se gul-posh ho gae

(295) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jis Din Tum Aa Ke Humse Ham-aghosh Ho Gae In English By Famous Poet Meer Mohammadi Bedar. Jis Din Tum Aa Ke Humse Ham-aghosh Ho Gae is written by Meer Mohammadi Bedar. Read famous Poem Jis Din Tum Aa Ke Humse Ham-aghosh Ho Gae for youth and Student by Meer Mohammadi Bedar. Free Download Jis Din Tum Aa Ke Humse Ham-aghosh Ho Gae in PDF.