Jata Hai Mere Ghar Se Dil-dar KHuda-hafiz

jata hai mere ghar se dil-dar KHuda-hafiz

hai zindagi ab mushkil be-yar KHuda-hafiz

wo mast-e-sharab-e-husn ghusse se nihayat hi

khinche hoe aata hai talwar KHuda-hafiz

mujh pas tabib aa ke kahne laga ai yar

be-tarah ka hai is ko aazar KHuda-hafiz

hasil nahin darman ka wo hai ye maraz jas se

jaan-bar na hua koi bimar KHuda-hafiz

be-tarah kuchh idhar ko wo mast-e-sharab-e-husn

khinche hue aata hai talwar KHuda-hafiz

ai shaiKH tu us but ke kuche mein to jata hai

ho jae na ye subha zunnar KHuda-hafiz

Darta hun ki dil har dam malta hai na ho jawe

us chashm-e-sitam-gar ka bimar KHuda-hafiz

yun mehr se farmaya us mah ne waqt-e-subh

hum jaane hain ab tera 'bedar' KHuda-hafiz

(324) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jata Hai Mere Ghar Se Dil-dar KHuda-hafiz In English By Famous Poet Meer Mohammadi Bedar. Jata Hai Mere Ghar Se Dil-dar KHuda-hafiz is written by Meer Mohammadi Bedar. Read famous Poem Jata Hai Mere Ghar Se Dil-dar KHuda-hafiz for youth and Student by Meer Mohammadi Bedar. Free Download Jata Hai Mere Ghar Se Dil-dar KHuda-hafiz in PDF.