Hum Hi Tanha Na Teri Chashm Ke Bimar Hue

hum hi tanha na teri chashm ke bimar hue

is maraz mein to kai hum se giraftar hue

sina-e-KHasta hamare se hai ghirbaal ko rashk

nawak-e-gham jigar-o-dil se zi-bas par hue

bikne moti lage bazar mein kauDi kauDi

yaad mein teri zi-bas chashm-e-guhar-bar hue

roz-e-awwal ki tum aa misr-e-mohabbat ke bich

yusuf-e-asr hue raunaq-e-bazar hue

naqd-e-jaan-o-dil-o-din de ke liya hum ne tumhein

saikDon ahl-e-hawas garche KHaridar hue

ghar mein le aae tumhein chah se karne shadi

ki tum is gham-kade mein sham-e-shab-tar hue

ruKH-e-taban se tumhaare ki hai KHurshid-misal

dar-o-diwar sabhi matla-e-anwar hue

DhunDhte tum ko paDe phirte the hum shahr-ba-shahr

KHwar-o-ruswa-e-sar-e-kucha-o-bazar hue

lillahil-hamd ki muddat mein tum ai nur-e-nigah

bais-e-raushni-e-dida-e-KHun-bar hue

KHana-e-chashm mein rakhte the shab-o-roz ki tum

qurrat-ul-ain hue rahat-e-didar hue

dekh kar mehr-o-wafa o karam-o-lutf ko hum

jaante yun the ki tum yar-e-wafadar hue

jis mein tum hote KHushi so hi to hum karte the

par nahin jaante kis waste bezar hue

ab hamein chhoD ke yun zar-o-nizar-o-ghamgin

tum kahin aur hi ja yan se numudar hue

ye to hargiz hi na thi tum se tawaqqo hum ko

ki sitamgar dil-azar jafa-kar hue

na wo iKHlas-o-mohabbat hai na wo mehr-o-wafa

shewa-e-jaur-o-jafa-o-sitam izhaar hue

ya wo altaf-o-karam tha ki sada rahte the

ai gul-andam hamare gae ke haar hue

is mein hairan hain ki kya aisi hui hai taqsir

qatl karne ke tain phirte ho tayar hue

tegh-e-KHun-rez-ba-kaf KHanjar-e-burran ba-miyan

har ghaDi samne aa jate ho KHunKHar hue

phir to kya hai sunte ho uTho bismillah

khinch kar tegh ko aao jo sitamgar hue

warna dil khol ke lag jao gale se pyare

go ki hum qatl hi karne ke saza-war hue

utni hi baat ke kahne mein ki ek bosa do

aah ai shoKH jo aise hi gunahgar hue

tauba karte hain qasam khate hain sunte ho tum

phir nahin kahne ke aage ko KHabar-dar hue

puchhta kya hai tu 'bedar' hamara ahwal

dam-e-KHuban mein phir ab aae giraftar hue

(308) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Hi Tanha Na Teri Chashm Ke Bimar Hue In English By Famous Poet Meer Mohammadi Bedar. Hum Hi Tanha Na Teri Chashm Ke Bimar Hue is written by Meer Mohammadi Bedar. Read famous Poem Hum Hi Tanha Na Teri Chashm Ke Bimar Hue for youth and Student by Meer Mohammadi Bedar. Free Download Hum Hi Tanha Na Teri Chashm Ke Bimar Hue in PDF.