Ye Bhi Koi Waza Aane Ki Hai Jo Aate Ho Tum

ye bhi koi waza aane ki hai jo aate ho tum

ek dam aae nahin guzra ki phir jate ho tum

dur se yun to koi jhamki dikha jate ho tum

par jo chahun ye ki pas aao kahan aate ho tum

kahiye mujh se to bhala itna ki kuchh main bhi sunun

banda-parwar kis ke han tashrif farmate ho tum

us pari-surat bala-angez ko dekha nahin

naseho mazur ho gar mujh ko samjhate ho tum

dekhiye KHirman pe ye barq-e-bala kis ke paDe

be-tarah kuchh tewari badle chale aate ho tum

jo koi banda ho apna is se phir kya hai hijab

main to is laeq nahin jo mujh se sharmate ho tum

aaj ye go aur ye maidan unhen kah dijiye

dekh lun jin ke bharose mujh ko dhamkate ho tum

phir na aawenge kabhi aisi hi gar aazurda ho

bas chale hum KHush raho kahe ko jhunjlate ho tum

haalat-e-'bedar' ab kya kijiye aap aage bayan

waqt hai ab bhi agar tashrif farmate ho tum

(301) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Bhi Koi Waza Aane Ki Hai Jo Aate Ho Tum In English By Famous Poet Meer Mohammadi Bedar. Ye Bhi Koi Waza Aane Ki Hai Jo Aate Ho Tum is written by Meer Mohammadi Bedar. Read famous Poem Ye Bhi Koi Waza Aane Ki Hai Jo Aate Ho Tum for youth and Student by Meer Mohammadi Bedar. Free Download Ye Bhi Koi Waza Aane Ki Hai Jo Aate Ho Tum in PDF.