Kahan Hum Rahe Phir Kahan Dil Rahega

kahan hum rahe phir kahan dil rahega

isi tarah gar tu muqabil rahega

khuli jab girah band-e-hasti ki tujh se

to uqda koi phir na mushkil rahega

dil-e-KHalq mein tuKHm ehsan ke bo le

yahi kisht-e-duniya ka hasil rahega

hijab-e-KHudi uTh gaya jab ki dil se

to parda koi phir na hael rahega

na pahunchega maqsad ko kam-himmati se

jo salik talabgar-e-manzil rahega

na hoga tu aagah irfan-e-haq se

gar apni haqiqat se ghafil rahega

KHafa mat ho 'bedar' andesha kya hai

mila gar na wo aaj kal mil rahega

(297) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahan Hum Rahe Phir Kahan Dil Rahega In English By Famous Poet Meer Mohammadi Bedar. Kahan Hum Rahe Phir Kahan Dil Rahega is written by Meer Mohammadi Bedar. Read famous Poem Kahan Hum Rahe Phir Kahan Dil Rahega for youth and Student by Meer Mohammadi Bedar. Free Download Kahan Hum Rahe Phir Kahan Dil Rahega in PDF.