Jo Wo Bahaar-e-azar-e-KHubi Chaman Mein Aata KHiram Karta

jo wo bahaar-e-azar-e-KHubi chaman mein aata KHiram karta

sanobar-o-sarw har ek aa kar zarur us ko salam karta

figar tegh-e-sitam ke ab tak karen hain nala ba-rang-e-bulbul

qayamat ai gul ajab hi hoti tu gar kisi se kalam karta

jo pata lazzat basan-e-saqi mai-e-mohabbat se teri zahid

nikal haram se wo but-kade mein maqam apna mudam karta

jo upri ru tujhe dikhata jamal apna to wohin naseh!

hamare manind chhoD ghar ko gali mein us ki qayam karta

KHayal us ke se itni fursat kahan ki fikr-e-suKHan karun main

wagarna 'bedar' is ghazal ko qasida mein la kalam karta

(329) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Wo Bahaar-e-azar-e-KHubi Chaman Mein Aata KHiram Karta In English By Famous Poet Meer Mohammadi Bedar. Jo Wo Bahaar-e-azar-e-KHubi Chaman Mein Aata KHiram Karta is written by Meer Mohammadi Bedar. Read famous Poem Jo Wo Bahaar-e-azar-e-KHubi Chaman Mein Aata KHiram Karta for youth and Student by Meer Mohammadi Bedar. Free Download Jo Wo Bahaar-e-azar-e-KHubi Chaman Mein Aata KHiram Karta in PDF.