Jo Tu Ho Pas To Dekhun Bahaar Aankhon Se

jo tu ho pas to dekhun bahaar aankhon se

wagarna karte hain gul kar-e-KHar aankhon se

kahan hai tu ki mein khinchun hun rah mein teri

bisan-e-naqsh-e-qadam intizar aankhon se

zi-bas ki aatish-e-gham shola-zan hai sine mein

girin hain ashk ki jagah sharar aankhon se

main yaad kar dur-e-dandan-e-yar rota hun

Tapakte hain guhar-e-ab-dar aankhon se

Tuk aa ke dekh tu ai sarw-qad mera ahwal

rawan hai gham mein tere juebar aankhon se

chaDhaun dasta-e-nargis mazar-e-majnun par

jo dekhun aaj main ru-e-nigar aankhon se

chaman mein kal koi tujh sa pari nazar na paDa

agarche dekhe hain ja kar hazar aankhon se

hua hai dida-e-'bedar' gul-fishan jab se

gira hai tab se ye abr-e-bahaar aankhon se

(323) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Tu Ho Pas To Dekhun Bahaar Aankhon Se In English By Famous Poet Meer Mohammadi Bedar. Jo Tu Ho Pas To Dekhun Bahaar Aankhon Se is written by Meer Mohammadi Bedar. Read famous Poem Jo Tu Ho Pas To Dekhun Bahaar Aankhon Se for youth and Student by Meer Mohammadi Bedar. Free Download Jo Tu Ho Pas To Dekhun Bahaar Aankhon Se in PDF.