Maktab Mein Tujhe Dekh Kise Hosh-e-sabaq Hai

maktab mein tujhe dekh kise hosh-e-sabaq hai

har tifl ke yan ashk se aaluda waraq hai

hun muntazir us mahr ke aane hi ka warna

shabnam ki tarah aankhon mein dam koi ramaq hai

dekh ai chaman-e-husn tujhe bagh mein KHandan

shabnam nahin ye gul pe KHajalat se araq hai

wo chand sa munh surKH dupaTTa mein hai raKHshan

ya mahr kahun jalwa-numa zer-e-shafaq hai

nargis ki zar-o-gul pe bhi wa chashm-e-tama hai

is par ki zar-o-sim ka us pas tabaq hai

dil us but-e-be-mehr ko de muft hi khoya

kahte hain jo kuchh yar mujhe waqai haq hai

juz tere nahin ghair ko rah dil ke nagar mein

jab se ki tere ishq ka yan nazm-o-nasaq hai

mazkur hua yan magar us gul ke dahan ka

jo rashk se har ghuncha ka dil bagh mein shaq hai

kar masqala-e-zikr se dil saf tu apna

'bedar' ye aaina tajalli-gah-e-haq hai

(285) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Maktab Mein Tujhe Dekh Kise Hosh-e-sabaq Hai In English By Famous Poet Meer Mohammadi Bedar. Maktab Mein Tujhe Dekh Kise Hosh-e-sabaq Hai is written by Meer Mohammadi Bedar. Read famous Poem Maktab Mein Tujhe Dekh Kise Hosh-e-sabaq Hai for youth and Student by Meer Mohammadi Bedar. Free Download Maktab Mein Tujhe Dekh Kise Hosh-e-sabaq Hai in PDF.