Maqdur Kya Mujhe Ki Kahun Wan Ki Yan Rahe

maqdur kya mujhe ki kahun wan ki yan rahe

hain chashm-o-dil ghar us ke jahan chahe wan rahe

misl-e-nigah ghar se na bahar rakha qadam

phir aae har taraf ye jahan ke tahan rahe

ne but-kada se kaam na matlab haram se tha

mahw-e-KHayal-e-yar rahe hum jahan rahe

jis ke ki ho naqab se bahar shua-e-husn

wo ru-e-aftab KHajil kab nihan rahe

aae to ho pa dil ko tasalli ho tab mere

itna kaho ki aaj na jawenge han rahe

hasti hi mein hai sair-e-adam us ko yan jise

fikr-e-miyan-e-yar o KHayal-e-dahan rahe

ghibat hi mein hai us ki hamara zuhur yan

wo jalwa-gar jab aage hua hum kahan rahe

'bedar' zulf khinche idhar chashm-e-yar udhar

hairan hai dil kahan na rahe kis ke han rahe

(284) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Maqdur Kya Mujhe Ki Kahun Wan Ki Yan Rahe In English By Famous Poet Meer Mohammadi Bedar. Maqdur Kya Mujhe Ki Kahun Wan Ki Yan Rahe is written by Meer Mohammadi Bedar. Read famous Poem Maqdur Kya Mujhe Ki Kahun Wan Ki Yan Rahe for youth and Student by Meer Mohammadi Bedar. Free Download Maqdur Kya Mujhe Ki Kahun Wan Ki Yan Rahe in PDF.