Na Gham-e-dil Na Fikr-e-jaan Hai Yaad

na gham-e-dil na fikr-e-jaan hai yaad

ek teri hi bar zaban hai yaad

tha jo kuchh wada-e-wafa hum se

kuchh bhi wo tum ko mehrban hai yaad

agle milne ki tarah bhul gae

kya bataun tumhein kahan hai yaad

hun main paband-e-ulfat-e-sayyaad

kab mujhe bagh-o-bostan hai yaad

mahw tere hi ru-o-zulf ke hain

na hamein wo na ye jahan hai yaad

dida-o-dil mein tu hi basta hai

tujh siwa kis ki aur yan hai yaad

aur kuchh aarzu nahin 'bedar'

ek us ki hi jawedan hai yaad

(299) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Gham-e-dil Na Fikr-e-jaan Hai Yaad In English By Famous Poet Meer Mohammadi Bedar. Na Gham-e-dil Na Fikr-e-jaan Hai Yaad is written by Meer Mohammadi Bedar. Read famous Poem Na Gham-e-dil Na Fikr-e-jaan Hai Yaad for youth and Student by Meer Mohammadi Bedar. Free Download Na Gham-e-dil Na Fikr-e-jaan Hai Yaad in PDF.