Na Diya Us Kun Ya Diya Qasid

na diya us kun ya diya qasid

sach bata nama kya kiya qasid

na phira aah koi le ke jawab

jo gaya wan so gum hua qasid

aaj aawega ya na aawega

mere ghar mein wo dil-ruba qasid

dil ko hai saKHt intizar-e-jawab

kah shitabi se kya kaha qasid

kucha-e-yar mein mere zinhaar

jaiyo mat barhana-pa qasid

KHar-e-mizhgan-e-kushtagan-e-wafa

wan hain uftada ja-ba-ja qasid

nama-e-shauq ko mere le kar

yar ke pas jab gaya qasid

mohr ko KHat ki dekh kahne laga

kaun 'bedar' hai bata qasid

jis ne bheja hai tere hath ye KHat

main nahin us se aashna qasid

(346) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Diya Us Kun Ya Diya Qasid In English By Famous Poet Meer Mohammadi Bedar. Na Diya Us Kun Ya Diya Qasid is written by Meer Mohammadi Bedar. Read famous Poem Na Diya Us Kun Ya Diya Qasid for youth and Student by Meer Mohammadi Bedar. Free Download Na Diya Us Kun Ya Diya Qasid in PDF.