Tumko Kahte Hain Ki Aashiq Ki Fughan Sunte Ho

tum ko kahte hain ki aashiq ki fughan sunte ho

ye to kahne hi ki baaten hain kahan sunte ho

chah ka zikr tumhaari main kiya kis aage

kaun kahta hai kaho kis ki zaban sunte ho

kashish-e-ishq hi lai hai tumhein yan warna

aap se tha na mujhe ye to guman sunte ho

ek shab mera bhi afsana-e-jaan-soz suno

qisse auron ke to ai jaan-e-jahan sunte ho

wo gul-andam jo aaya to KHajalat se tamam

zard ho jaoge ai lala-ruKHan sunte ho

ek ke lakh sunaunga KHabar-dar raho

is taraf aai agar tab-e-rawan sunte ho

aaj kya hai kaho kyun aise KHafa baiThe ho

apni kahte ho na meri hi miyan sunte ho

kaun hai kis se karun dard-e-dil apna izhaar

chahta hun ki suno tum to kahan sunte ho

ye wahi shoKH hai aata hai jo 'bedar' ke sath

jis ko ghaarat-gar-e-dil aafat-e-jaan sunte ho

(328) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tumko Kahte Hain Ki Aashiq Ki Fughan Sunte Ho In English By Famous Poet Meer Mohammadi Bedar. Tumko Kahte Hain Ki Aashiq Ki Fughan Sunte Ho is written by Meer Mohammadi Bedar. Read famous Poem Tumko Kahte Hain Ki Aashiq Ki Fughan Sunte Ho for youth and Student by Meer Mohammadi Bedar. Free Download Tumko Kahte Hain Ki Aashiq Ki Fughan Sunte Ho in PDF.