Tujh Bin Sarishk-e-KHun Ka Hai Aankhon Se Tughiyan Is Qadar

tujh bin sarishk-e-KHun ka hai aankhon se tughiyan is qadar

barsa nahin ab tak kahin abr-e-bahaaran is qadar

gulshan mein gar dekhen mujhe huin sumbul o nargis KHajil

dil hai pareshan is qadar aankhen hain hairan is qadar

rakhta hai tu jis ja qadam hota hai lohu ka nishan

pamal karta hai koi KHun-e-shahidan is qadar

DhunDhe jo tu daman talak pawe na sabit tu use

main chaak phirta hun kiye naseh gareban is qadar

'bedar' ko dikhla ke tu ne qatl auron ko kiya

karta hai ai zalim koi zulm-e-numayan is qadar

(354) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tujh Bin Sarishk-e-KHun Ka Hai Aankhon Se Tughiyan Is Qadar In English By Famous Poet Meer Mohammadi Bedar. Tujh Bin Sarishk-e-KHun Ka Hai Aankhon Se Tughiyan Is Qadar is written by Meer Mohammadi Bedar. Read famous Poem Tujh Bin Sarishk-e-KHun Ka Hai Aankhon Se Tughiyan Is Qadar for youth and Student by Meer Mohammadi Bedar. Free Download Tujh Bin Sarishk-e-KHun Ka Hai Aankhon Se Tughiyan Is Qadar in PDF.