Mehr-e-KHuban KHana-afroz-e-dil-afsurda Hai

mehr-e-KHuban KHana-afroz-e-dil-afsurda hai

shoala aab-e-zindagani-e-charagh-e-murda hai

murgh-e-dil teri nigah ka ho chuka ab to shikar

ja kahan sakta hai yan se said-e-nawak-KHurda hai

hai bahaar-e-rang-o-bu-e-taza ru-e-KHasm-e-jaan

salim aafat-e-hawadis se gul-e-pazhmurda hai

jaan-o-iman din-o-dil jo tha bisat apna diya

aur kya chahe hai tu mujh se jo ab aazurda hai

ai shah-e-iqlim-e-KHubi ta-sar-e-darwaza aa

nazr ko 'bedar' teri jaan-ba-kaf-awarda hai

(301) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mehr-e-KHuban KHana-afroz-e-dil-afsurda Hai In English By Famous Poet Meer Mohammadi Bedar. Mehr-e-KHuban KHana-afroz-e-dil-afsurda Hai is written by Meer Mohammadi Bedar. Read famous Poem Mehr-e-KHuban KHana-afroz-e-dil-afsurda Hai for youth and Student by Meer Mohammadi Bedar. Free Download Mehr-e-KHuban KHana-afroz-e-dil-afsurda Hai in PDF.