Aah Main Be-qarar Kis Ka Hun
aah main be-qarar kis ka hun
kushta-e-intizar kis ka hun
tir sa dil mein kuchh khaTakta hai
dekhiyo main shikar kis ka hun
dil hai ya main hun main hun ya dil hai
aur ab ham-kanar kis ka hun
chain aata nahin mujhe yaro
dil-e-pur-iztirar kis ka hun
chaak hai misl-e-gul tamam badan
ya rab itna figar kis ka hun
'soz' main jo kaha kahan tha yar
bola chal be main yar kis ka hun
(408) Peoples Rate This
Fatal error: Uncaught PDOException: SQLSTATE[42S22]: Column not found: 1054 Unknown column 'id' in 'ORDER BY' in /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php:544 Stack trace: #0 /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php(544): PDOStatement->execute() #1 {main} thrown in /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php on line 544