Agar Main Jaanta Hai Ishq Mein DhaDka Judai Ka

agar main jaanta hai ishq mein dhaDka judai ka

to jite ji na leta nam hargiz aashnai ka

jo aashiq saf hain dil se unhin ko qatl karte hain

baDa charcha hai mashuqon mein aashiq-azmai ka

karun ek pal mein barham kar-KHane ko mohabbat ke

agar aalam mein shohra dun tumhaari bewafai ka

jafa ya mehr jo chahe so kar le apne bandon par

mujhe KHatra nahin hargiz burai ya bhalai ka

na pahuncha aah-o-nala gosh tak us ke kabhu apna

bayan hum kya karen tale ki apne na-rasai ka

KHudaya kis ke hum bande kahawen saKHt mushkil hai

rakhe hai har sanam is dahr mein dawa KHudai ka

KHuda ki bandagi ka 'soz' hai dawa to KHilqat ko

wale dekha jise banda hai apni KHud-numai ka

(442) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Agar Main Jaanta Hai Ishq Mein DhaDka Judai Ka In English By Famous Poet Meer Soz. Agar Main Jaanta Hai Ishq Mein DhaDka Judai Ka is written by Meer Soz. Read famous Poem Agar Main Jaanta Hai Ishq Mein DhaDka Judai Ka for youth and Student by Meer Soz. Free Download Agar Main Jaanta Hai Ishq Mein DhaDka Judai Ka in PDF.