Apne Nale Mein Gar Asar Hota

apne nale mein gar asar hota

qatra-e-ashk bhi guhar hota

jin ke name ki hai pahunch tujh tak

kash main un ka nama-bar hota

dil na deta jo main tujhe zalim

kyun meri jaan ka zarar hota

phir na karta sitam kisi pe agar

haal se mere ba-KHabar hota

KHun-e-ushshaq karte kyun nahaq

gar buton ko KHuda ka Dar hota

kaam aata main ek din pyare

rabt mujh se tujhe agar hota

khinchti fauj-e-KHat jo husn pe tegh

sina mera hi wan sipar hota

'soz' ko shauq kabe jaane ka

hai bahut par zyaada-tar hota

shaiKH manind tere us ke pas

bar-bardari ko jo KHar hota

(442) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Apne Nale Mein Gar Asar Hota In English By Famous Poet Meer Soz. Apne Nale Mein Gar Asar Hota is written by Meer Soz. Read famous Poem Apne Nale Mein Gar Asar Hota for youth and Student by Meer Soz. Free Download Apne Nale Mein Gar Asar Hota in PDF.