Ghamza-e-chashm Sharmsar Kahan

ghamza-e-chashm sharmsar kahan

sar to hazir hai tegh-e-yar kahan

gul bhi karta hai chaak apna jaib

par gareban sa tar tar kahan

ho ghazalon ko us se ham-chashmi

tikhi chitwan kahan KHumar kahan

andalibon ne gul ko gher liya

ek jewDa kahan hazar kahan

ek din ek shaKHs ne puchha

mir sahab tumhaara yar kahan

main ne us se kaha ki sun bhai

ab mujhe us talak hai bar kahan

gah-gahe salam karta hai

par wo baaten kahan wo pyar kahan

zindagi tak sitam to sah le 'soz'

phir to ye zulm bar bar kahan

(497) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghamza-e-chashm Sharmsar Kahan In English By Famous Poet Meer Soz. Ghamza-e-chashm Sharmsar Kahan is written by Meer Soz. Read famous Poem Ghamza-e-chashm Sharmsar Kahan for youth and Student by Meer Soz. Free Download Ghamza-e-chashm Sharmsar Kahan in PDF.