Naseho Dil Kis Kane Hai Kis Ko Samjhate Ho Tum

naseho dil kis kane hai kis ko samjhate ho tum

kyun diwane ho gae ho jaan kyun khate ho tum

mujh se kahte ho ki main hargiz nahin pita sharab

main tumhaara dost ya dushman ki sharmate ho tum

aur jo baiThe rahen to un se tum mahzuz ho

jab hamin aate hain to ghabra ke uTh jate ho tum

lo ji ab aaram se baiThe raho jate hain hum

phir na aawenge kabhi kahe ko jhunjhlate ho tum

raat ko tum jis jagah the hum ko sab malum hai

jhuT kyun bakte ho kahe ko qasam khate ho tum

munh bana meri taraf aaine ka bosa liya

wah wa achchhi tarah se roz Dahkate ho tum

ek to main aap hun be-zar apni jaan se

dusre bak bak ke mere ji ko ghabraate ho tum

ai kabutar ai saba ai nala ai fariyaad aaj

kahiyo dilbar se agar kuche talak jate ho tum

'soz' ka dil KHush to ho jata hai wadon se miyan

par ghazab ye hai ki waqt hi par mukar jate ho tum

(415) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Naseho Dil Kis Kane Hai Kis Ko Samjhate Ho Tum In English By Famous Poet Meer Soz. Naseho Dil Kis Kane Hai Kis Ko Samjhate Ho Tum is written by Meer Soz. Read famous Poem Naseho Dil Kis Kane Hai Kis Ko Samjhate Ho Tum for youth and Student by Meer Soz. Free Download Naseho Dil Kis Kane Hai Kis Ko Samjhate Ho Tum in PDF.