Pas Rah Kar Dekhna Tera BaDa Arman Hai

pas rah kar dekhna tera baDa arman hai

mujh ko sab mushkil hai pyare tujh ko sab aasan hai

ai mere badmast mat kar tu ghazalon ka shikar

le na mere dil ko chakh ye zor hi biryan hai

kya dua dete ho miyan jite raho jite raho

zindagani to nahin angrez ka zindan hai

ek bosa mach-macha kar bich se honTon ke de

phir agar dil tujh se mangun jaan bhi nadan hai

jis ki niyat mein dagha hai aap hota hai KHarab

KHosha-e-gandum ko dekho kab se data-dan hai

aah kuchh chubhta hai uThte baiThte sine ke bich

chir ke dekho to ye almas ka paikan hai

mere samjhane ko aaya hai baghal mein le kitab

nak mein laya hai dam naseh koi shaitan hai

'soz' ka rutba kahan pahuncha hai jo teri raza

log ye kahte hain ab tu sahib-e-diwan hai

(451) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pas Rah Kar Dekhna Tera BaDa Arman Hai In English By Famous Poet Meer Soz. Pas Rah Kar Dekhna Tera BaDa Arman Hai is written by Meer Soz. Read famous Poem Pas Rah Kar Dekhna Tera BaDa Arman Hai for youth and Student by Meer Soz. Free Download Pas Rah Kar Dekhna Tera BaDa Arman Hai in PDF.