Ab Kya Milen Hasinon Se Hum Gosha-gir Hain

ab kya milen hasinon se hum gosha-gir hain

ghaarat-garon ne luT liya hai faqir hain

KHaliq bachae zohra-jabinon ki chah se

sunte hain do farishte abhi tak asir hain

chaar aankhen hum ne ki to hain ghussa na kijiye

sail nahin faqir nahin rahgir hain

dar par tumhaare baiThe hain sar par hai aaftab

hum KHaksar malik-e-taj-o-sarir hain

wo bhi to roen ai asar-e-girya ek din

jin ki nigah mein mere aansu haqir hain

kah denge saf saf wo dekhen to aaina

ye mang hai lakir hum is par faqir hain

nazron se kya giraenge 'tahir' adu mujhe

fazl-e-KHuda se dast-e-KHuda dast-gir hain

(300) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Kya Milen Hasinon Se Hum Gosha-gir Hain In English By Famous Poet Meer Tahir Ali Tahir Farrukhabadi. Ab Kya Milen Hasinon Se Hum Gosha-gir Hain is written by Meer Tahir Ali Tahir Farrukhabadi. Read famous Poem Ab Kya Milen Hasinon Se Hum Gosha-gir Hain for youth and Student by Meer Tahir Ali Tahir Farrukhabadi. Free Download Ab Kya Milen Hasinon Se Hum Gosha-gir Hain in PDF.