Jo Chand Lamhon Mein Ban Gaya Tha Wo Silsila KHatm Ho Gaya Hai

jo chand lamhon mein ban gaya tha wo silsila KHatm ho gaya hai

ye tum ne kaisa yaqin dilaya mughaalta KHatm ho gaya hai

zaban honTon pe ja ke phiki hi lauT aati hai kuchh dinon se

namak nahin hai tere labon mein ya zaiqa KHatm ho gaya hai

guman ganw se main chala tha yaqin ki manzilon ki jaanib

magar tawahhum ke jangalon mein hi rasta KHatm ho gaya hai

wo guftuguon ke narm chashme kahin faza mein hi jam gae hain

wo sare message wo shairi ka tabaadala KHatm ho gaya hai

kal ek sadma paDa tha hum par ke jis ne dil ko hila diya tha

chalo ke sine ka jaeza len ki zalzala KHatm ho gaya hai

mere tasawwur mein itni wusat nahin ke tera badan samae

main tujh ko sochun to aisa lagta hai hafiza KHatm ho gaya hai

main tujh ko pa kar hi mutmain hun ab aur koi talab nahin hai

jo aaj tak tha nasib se wo mutalba KHatm ho gaya hai

(2016) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Chand Lamhon Mein Ban Gaya Tha Wo Silsila KHatm Ho Gaya Hai In English By Famous Poet Mehshar Afridi. Jo Chand Lamhon Mein Ban Gaya Tha Wo Silsila KHatm Ho Gaya Hai is written by Mehshar Afridi. Read famous Poem Jo Chand Lamhon Mein Ban Gaya Tha Wo Silsila KHatm Ho Gaya Hai for youth and Student by Mehshar Afridi. Free Download Jo Chand Lamhon Mein Ban Gaya Tha Wo Silsila KHatm Ho Gaya Hai in PDF.