Lab-e-sahil Samundar Ki Farawani Se Mar Jaun

lab-e-sahil samundar ki farawani se mar jaun

mujhe wo pyas hai shayad ki main pani se mar jaun

tum us ko dekh kar chhu kar bhi zinda lauT aae ho

main us ko KHwab mein dekhun to hairani se mar jaun

main itna saKHt-jaan hun dam baDi mushkil se niklega

zara taklif baDh jae to aasani se mar jaun

ghanimat hai parinde meri tanhai samajhte hain

agar ye bhi na hon to ghar ke virane se mar jaun

nazar-andaz kar mujh ko zara sa khul ke jine de

kahin aisa na ho teri nigahbani se mar jaun

bahut se sher mujh se KHun thukwate hain aamad par

bahut mumkin hai main ek din ghazal-KHwani se mar jaun

teri nazron se gir kar aaj bhi zinda hun main kiya KHub

taqaza hai ye ghairat ka pashemani se mar jaun

(1535) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lab-e-sahil Samundar Ki Farawani Se Mar Jaun In English By Famous Poet Mehshar Afridi. Lab-e-sahil Samundar Ki Farawani Se Mar Jaun is written by Mehshar Afridi. Read famous Poem Lab-e-sahil Samundar Ki Farawani Se Mar Jaun for youth and Student by Mehshar Afridi. Free Download Lab-e-sahil Samundar Ki Farawani Se Mar Jaun in PDF.