Nashe Ki Aag Mein Dekha Gulab Yani Tu

nashe ki aag mein dekha gulab yani tu

badan ke jam mein desi sharab yani tu

hamare lams ne sab tar kas diye us ke

wo jhanjhananey ko bekal rabab yani tu

har ek chehra nazar se chakha hua dekha

har ek nazar se achhuta shabab yani tu

safed qalamen huin to siyah-zulf mili

ab aisi umr mein ye inqalab yani tu

mai KHud hi apni nigahon ki dad deta hun

hazar chehron mein ek intiKHab yani tu

mile mile na mile nekiyon ka phal mujh ko

KHuda ne de diya mujh ko sawab yani tu

gudaz jism kamal honT marmari bahen

meri tabiat pe likkhi kitab yani tu

main tere ishq se pahle gunah karta tha

mujhe diya gaya dilkash azab yani tu

(2144) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nashe Ki Aag Mein Dekha Gulab Yani Tu In English By Famous Poet Mehshar Afridi. Nashe Ki Aag Mein Dekha Gulab Yani Tu is written by Mehshar Afridi. Read famous Poem Nashe Ki Aag Mein Dekha Gulab Yani Tu for youth and Student by Mehshar Afridi. Free Download Nashe Ki Aag Mein Dekha Gulab Yani Tu in PDF.