Iltifat-e-am Hai Wajh-e-pareshani Mujhe

iltifat-e-am hai wajh-e-pareshani mujhe

kis qadar mahngi paDi hai un ki arzani mujhe

bahr-e-hasti hai meri nazron mein ek dasht-e-sarab

ret ka hota hai dhoka dekh kar pani mujhe

tere jalwon ka to har ek zarra hai aaina-dar

mane-e-nazzara hai KHud meri hairani mujhe

sai-e-be-hasil thi dil ki koshish-e-iKHfa-e-raaz

kar gai ruswa nigahon ki pareshani mujhe

ya adu-e-bul-hawas ki naz-bardari karo

ya bana lo taKHta-e-mashq-e-sitam-rani mujhe

khul nahin sakti faqat ek aap ke dil ki girah

warna kya kya gutthiyan aati hain suljhani mujhe

kis qadar na-paid hain ahl-e-kamal ab ai 'wafa'

koi apna bhi nazar aata nahin sani mujhe

(448) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Iltifat-e-am Hai Wajh-e-pareshani Mujhe In English By Famous Poet Mela Ram Wafa. Iltifat-e-am Hai Wajh-e-pareshani Mujhe is written by Mela Ram Wafa. Read famous Poem Iltifat-e-am Hai Wajh-e-pareshani Mujhe for youth and Student by Mela Ram Wafa. Free Download Iltifat-e-am Hai Wajh-e-pareshani Mujhe in PDF.