Go Qayamat Se Peshtar Na Hui
go qayamat se peshtar na hui
tum na aae to kya sahar na hui
aa gai nind sunne walon ko
dastan gham ki muKHtasar na hui
KHun kitne sitam-kashon ka hua
aankh us sang-dil ki tar na hui
us ne sun kar bhi an-suni kar di
maut bhi meri mo'atabar na hui
sath taqdir ne kabhi na diya
koi tadbir kargar na hui
chain ki justuju rahi din-raat
zindagi chain se basar na hui
mujh ko milti na ai 'wafa' manzil
aql qismat se rahbar na hui
(458) Peoples Rate This