Mahfil Mein Idhar Aur Udhar Dekh Rahe Hain

mahfil mein idhar aur udhar dekh rahe hain

hum dekhne walon ki nazar dekh rahe hain

aalam hai tere partaw-e-ruKH se ye hamara

hairat se hamein shams-o-qamar dekh rahe hain

bhage chale jate hain udhar ko to ajab kya

ruKH log hawaon ka jidhar dekh rahe hain

hogi na shab-e-gham to qayamat se idhar KHatm

hum sham hi se rah-e-sahar dekh rahe hain

wade pe wo aaen ye tawaqqo nahin hum ko

rah rah ke magar jaanib-e-dar dekh rahe hain

shikwa karen ghairon ka to kis munh se karen hum

badli hui yaron ki nazar dekh rahe hain

shayad ki isi mein ho 'wafa' KHair hamari

barpa jo ye hangama-e-shar dekh rahe hain

(452) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mahfil Mein Idhar Aur Udhar Dekh Rahe Hain In English By Famous Poet Mela Ram Wafa. Mahfil Mein Idhar Aur Udhar Dekh Rahe Hain is written by Mela Ram Wafa. Read famous Poem Mahfil Mein Idhar Aur Udhar Dekh Rahe Hain for youth and Student by Mela Ram Wafa. Free Download Mahfil Mein Idhar Aur Udhar Dekh Rahe Hain in PDF.