Mani-taraaziyan Hain Rangin-bayaniyan Hain
mani-taraaziyan hain rangin-bayaniyan hain
duniya mein jitne munh hain utni kahaniyan hain
mani-taraaziyan ya rangin-bayaniyan hain
ye bhi kahaniyan hain wo bhi kahaniyan hain
kya mehrbaniyan thin kya mehrbaniyan hain
wo bhi kahaniyan thin ye bhi kahaniyan hain
ek bar us ne mujh ko dekha tha muskura kar
itni si hai haqiqat baqi kahaniyan hain
sunta hai koi kis ki kis ko sunae koi
har ek ki zaban par apni kahaniyan hain
kuchh baat hai jo chup hun main sab ki sun ke warna
yaad ai 'wafa' mujhe bhi sab ki kahaniyan hain
(331) Peoples Rate This