Puchhen Wo Kash Haal Dil-e-be-qarar Ka

puchhen wo kash haal dil-e-be-qarar ka

hum bhi kahen ki shukr hai parwardigar ka

lazim agar hai shukr hi parwardigar ka

phir kya ilaj gardish-e-lail-o-nahaar ka

sayyaad bhi pahunch gaya gul-chi bhi bagh mein

ai ham-safir aa gaya mausam bahaar ka

tadbir kya ho sabr-o-shakeb-o-qarar ki

wo tund-KHu hai bas ka na dil iKHtiyar ka

kyun-kar miTe nadamat-e-izhaar-e-arzu

aalam nazar mein hai nigah-e-sharmsar ka

qanun kis ne badla hai qudrat ka shaiKH-ji

daru hai ab bhi mai hi gham-e-rozgar ka

un namiyon ke hashr se ibrat-pazir ho

baqi nahin nishan bhi jin ke ghubar ka

rakkhega be-qarar tumhein bhi tamam umr

marna taDap taDap ke kisi be-qarar ka

be-laus ho hawas se agar ishq ai 'wafa'

hai zikr-e-yar mein bhi maza wasl-e-yar ka

(459) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Puchhen Wo Kash Haal Dil-e-be-qarar Ka In English By Famous Poet Mela Ram Wafa. Puchhen Wo Kash Haal Dil-e-be-qarar Ka is written by Mela Ram Wafa. Read famous Poem Puchhen Wo Kash Haal Dil-e-be-qarar Ka for youth and Student by Mela Ram Wafa. Free Download Puchhen Wo Kash Haal Dil-e-be-qarar Ka in PDF.