Qalaq Aa Gaya Iztirab Aa Gaya

qalaq aa gaya iztirab aa gaya

ye dil kya gaya ek azab aa gaya

lifafe mein purze mere KHat ke hain

mere KHat ka aaKHir jawab aa gaya

idhar baDhte baDhte baDha dast-e-shauq

udhar aate aate hijab aa gaya

kaha us ne dekha jo dar par mujhe

kahan se ye KHana-KHarab aa gaya

jabin pur-shikan hai nigah shoala-rez

ye kaun aaj zer-e-itab aa gaya

sikandar nasibe ka hai wo faqir

tere dar se jo kaamyab aa gaya

ye aalam hua tabish-e-husn se

sawa neze par aaftab aa gaya

hue hi the aamada tauba pe hum

ki gardish mein jam-e-sharab aa gaya

hui qail-e-jalwa-e-tur KHalq

sar-e-baam wo be-naqab aa gaya

ye kya kam hai ai shaiKH mai ka jawaz

wo kabe se uTh kar sahab aa gaya

uThae gae bazm se bul-hawas

unhen shewa-e-intiKHab aa gaya

adu sath rahne lage ai 'wafa'

gahan mein mera aaftab aa gaya

(391) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qalaq Aa Gaya Iztirab Aa Gaya In English By Famous Poet Mela Ram Wafa. Qalaq Aa Gaya Iztirab Aa Gaya is written by Mela Ram Wafa. Read famous Poem Qalaq Aa Gaya Iztirab Aa Gaya for youth and Student by Mela Ram Wafa. Free Download Qalaq Aa Gaya Iztirab Aa Gaya in PDF.