Saaton Ki Nahin Baat Lamhon Ki Hai Jism Se Ruh Parwaz Kar Jaegi
saaton ki nahin baat lamhon ki hai jism se ruh parwaz kar jaegi
tum hamari KHabar ko to kya aaoge ab tumhi ko hamari KHabar jaegi
jis qayamat se waiz Daraata hai tu us qayamat se kam ye qayamat nahin
bar-ha dil pe guzri hai jo hijr mein bar-ha jaan par jo guzar jaegi
mere chaaragaro mere tan-parwaro, jao tum kas liye nind khoTi karo
hijr ki raat la-intiha raat hai ye qayamat nahin jo guzar jaegi
mere jine na jine mein kya farq hai mera jina na jina barabar hai ab
mujh ko marne hi do mujh ko marne hi do mere marne se duniya na mar jaegi
meri duniya meri zindagi tak hi hai aur ek din meri maut ke sath hi
KHatma meri duniya ka ho jaega meri duniya mere sath mar jaegi
Darne walon ko duniya Daraati rahi Darne walon ko duniya Daraati rahe
tum Daroge na duniya se lekin agar haar kar tum se duniya hi Dar jaegi
al-aman al-aman al-hazar al-hazar al-aman al-hazar teri nichi nazar
tir ban kar jigar mein utar jaegi dard ki Tis rag rag mein bhar jaegi
laengi rang laengi aahen meri raegan hi na jaengi aahen meri
meri qismat to sanwre na sanwre magar zulf to us pari ki sanwar jaegi
zindagi ko na hai aarzu ko 'wafa' hasrat-agin hai donon ka shahr-e-wafa
zindagi aarzu mein guzar jaegi aarzu dil mein ghuT ghuT ke mar jaegi
(372) Peoples Rate This