Sabr Mushkil Tha Mohabbat Ka Asar Hone Tak

sabr mushkil tha mohabbat ka asar hone tak

jaan Thahri na dil-e-dost mein ghar hone tak

shab-e-furqat ki bhi hone ko sahar to hogi

han magar hum nahin hone ke sahar hone tak

sahne hain jaur-o-sitam jhelne hain ranj-o-alam

yani karni hai basar umr basar hone tak

tera parda bhi uTha degi meri ruswai

tera parda hai mere KHak-ba-sar hone tak

mutazalzal to hai muddat se nizam-e-alam

naubat aa pahunchi hai ab zer-o-zabar hone tak

fursat-e-matam-e-parwana kahan se aae

shama ko maut se laDna hai sahar hone tak

ai 'wafa' marka-e-ishq to sar kya hoga

ho chukenge hamin ye marka sar hone tak

(436) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sabr Mushkil Tha Mohabbat Ka Asar Hone Tak In English By Famous Poet Mela Ram Wafa. Sabr Mushkil Tha Mohabbat Ka Asar Hone Tak is written by Mela Ram Wafa. Read famous Poem Sabr Mushkil Tha Mohabbat Ka Asar Hone Tak for youth and Student by Mela Ram Wafa. Free Download Sabr Mushkil Tha Mohabbat Ka Asar Hone Tak in PDF.