Zindagi KHak Mein Bhi Thi Tere Diwane Se

zindagi KHak mein bhi thi tere diwane se

ab na uTThega bagula koi virane se

is qadar ho gai kasrat tere diwanon ki

qais ghabra ke chala shahr ko virane se

jal-mara aag mohabbat ki ise kahte hain

jalna dekha na gaya shama ka parwane se

kis ki begana-washi se ye tahayyur aaya

ki ab apne bhi nazar aate hain begane se

shaiKH sahab bhi hue motaqid-e-pir-e-mughan

aaj ye taza KHabar aai hai mai-KHane se

itni tauhin na kar meri bala-noshi ki

saqiya mujh ko na de map ke paimane se

ai 'wafa' apne bhi jab aankh chura lete hain

be-ruKHi ka ho gila kya kisi begane se

(426) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zindagi KHak Mein Bhi Thi Tere Diwane Se In English By Famous Poet Mela Ram Wafa. Zindagi KHak Mein Bhi Thi Tere Diwane Se is written by Mela Ram Wafa. Read famous Poem Zindagi KHak Mein Bhi Thi Tere Diwane Se for youth and Student by Mela Ram Wafa. Free Download Zindagi KHak Mein Bhi Thi Tere Diwane Se in PDF.