Ai Yaqinon Ke KHuda Shahr-e-guman Kis Ka Hai

ai yaqinon ke KHuda shahr-e-guman kis ka hai

nur tera hai charaghon mein dhuan kis ka hai

kya ye mausam tere qanun ke paband nahin

mausam-e-gul mein ye dastur-e-KHizan kis ka hai

rakh ke shahr mein ek ek se main puchhta hun

ye jo mahfuz hai ab tak ye makan kis ka hai

mere mathe pe to ye dagh nahin tha pahle

aaj aaine mein ubhra jo nishan kis ka hai

wahi tapta hua sahra wahi sukhe hue honT

faisla kaun kare aab-e-rawan kis ka hai

chand rishton ke khilaune hain jo hum khelte hain

warna sab jaante hain kaun yahan kis ka hai

(1543) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ai Yaqinon Ke KHuda Shahr-e-guman Kis Ka Hai In English By Famous Poet Meraj Faizabadi. Ai Yaqinon Ke KHuda Shahr-e-guman Kis Ka Hai is written by Meraj Faizabadi. Read famous Poem Ai Yaqinon Ke KHuda Shahr-e-guman Kis Ka Hai for youth and Student by Meraj Faizabadi. Free Download Ai Yaqinon Ke KHuda Shahr-e-guman Kis Ka Hai in PDF.