BhiD Mein Koi Shanasa Bhi Nahin ChhoDti Hai

bhiD mein koi shanasa bhi nahin chhoDti hai

zindagi mujh ko akela bhi nahin chhoDti hai

aafiyat ka koi gosha bhi nahin chhoDti hai

aur duniya mera rasta bhi nahin chhoDti hai

mujh ko ruswa bhi bahut karti hai shohrat ki hawas

aur shohrat mera pichha bhi nahin chhoDti hai

hum ko do ghonT ki KHairaat hi de do warna

pyas pagal ho to dariya bhi nahin chhoDti hai

aabru ke liye roti hai bahut pichhle pahar

ek aurat ki jo pesha bhi nahin chhoDti hai

Dubne wale ke hathon mein ye pagal duniya

ek TuTa hua tinka bhi nahin chhoDti hai

ab ke jab ganw se lauTe to ye ehsas hua

dushmani KHun ka rishta bhi nahin chhoDti hai

kya mukammal hai judai ki bichhaD jaane ke baad

tujh se milne ka bahana bhi nahin chhoDti hai

jaante sab the ki nafrat ki ye kali aandhi

dasht to dasht hain dariya bhi nahin chhoDti hai

(940) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

BhiD Mein Koi Shanasa Bhi Nahin ChhoDti Hai In English By Famous Poet Meraj Faizabadi. BhiD Mein Koi Shanasa Bhi Nahin ChhoDti Hai is written by Meraj Faizabadi. Read famous Poem BhiD Mein Koi Shanasa Bhi Nahin ChhoDti Hai for youth and Student by Meraj Faizabadi. Free Download BhiD Mein Koi Shanasa Bhi Nahin ChhoDti Hai in PDF.