Bhigti Aaankhon Ke Manzar Nahin Dekhe Jate

bhigti aaankhon ke manzar nahin dekhe jate

hum se ab itne samundar nahin dekhe jate

us se milna hai to phir sada-mizaji se milo

aaine bhes badal kar nahin dekhe jate

waza-dari to buzurgon ki amanat hai magar

ab ye bikte hue zewar nahin dekhe jate

zinda rahna hai to haalat se Darna kaisa

jang lazim ho to lashkar nahin dekhe jate

(4448) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bhigti Aaankhon Ke Manzar Nahin Dekhe Jate In English By Famous Poet Meraj Faizabadi. Bhigti Aaankhon Ke Manzar Nahin Dekhe Jate is written by Meraj Faizabadi. Read famous Poem Bhigti Aaankhon Ke Manzar Nahin Dekhe Jate for youth and Student by Meraj Faizabadi. Free Download Bhigti Aaankhon Ke Manzar Nahin Dekhe Jate in PDF.