Ek TuTi Hui Zanjir Ki Fariyaad Hain Hum

ek TuTi hui zanjir ki fariyaad hain hum

aur duniya ye samajhti hai ki aazad hain hum

kyun hamein log samajhte hain yahan pardesi

ek muddat se isi shahr mein aabaad hain hum

kahe ka tark-e-watan kahe ki hijrat baba

isi dharti ki isi desh ki aulad hain hum

hum bhi tamir-e-watan mein hain barabar ke sharik

dar-o-diwar agar tum ho to buniyaad hain hum

hum ko is daur-e-taraqqi ne diya kya 'mearaj'

kal bhi barbaad the aur aaj bhi barbaad hain hum

(2407) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek TuTi Hui Zanjir Ki Fariyaad Hain Hum In English By Famous Poet Meraj Faizabadi. Ek TuTi Hui Zanjir Ki Fariyaad Hain Hum is written by Meraj Faizabadi. Read famous Poem Ek TuTi Hui Zanjir Ki Fariyaad Hain Hum for youth and Student by Meraj Faizabadi. Free Download Ek TuTi Hui Zanjir Ki Fariyaad Hain Hum in PDF.