Gunge Lafzon Ka Ye Be-samt Safar Mera Hai

gunge lafzon ka ye be-samt safar mera hai

guftugu us ki hai lahje mein asar mera hai

main ne khoe hain yahan apne sunahre shab o roz

dar-o-diwar kisi ke hon ye ghar mera hai

mera aslaf se rishta to na toD ai duniya

sab mahal tere hain lekin ye khanDar mera hai

aati jati hui faslon ka muhafiz hun main

phal to sab us ki amanat hain shajar mera hai

mere aangan ke muqaddar mein andhera hi sahi

ek charagh ab bhi sar-e-rahguzar mera hai

dur tak dar-o-rasan dar-o-rasan dar-o-rasan

aaise haalat mein jina bhi hunar mera hai

jab bhi talwar uThata hun ki chheDun koi jang

aisa lagta hai ki har shane pe sar mera hai

(1515) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gunge Lafzon Ka Ye Be-samt Safar Mera Hai In English By Famous Poet Meraj Faizabadi. Gunge Lafzon Ka Ye Be-samt Safar Mera Hai is written by Meraj Faizabadi. Read famous Poem Gunge Lafzon Ka Ye Be-samt Safar Mera Hai for youth and Student by Meraj Faizabadi. Free Download Gunge Lafzon Ka Ye Be-samt Safar Mera Hai in PDF.