Hum Ghazal Mein Tera Charcha Nahin Hone Dete

hum ghazal mein tera charcha nahin hone dete

teri yaadon ko bhi ruswa nahin hone dete

kuchh to hum KHud bhi nahin chahte shohrat apni

aur kuchh log bhi aisa nahin hone dete

azmaten apne charaghon ki bachane ke liye

hum kisi ghar mein ujala nahin hone dete

aaj bhi ganw mein kuchh kachche makanon wale

ghar mein ham-sae ke faqa nahin hone dete

zikr karte hain tera nam nahin lete hain

hum samundar ko jazira nahin hone dete

mujh ko thakne nahin deta ye zarurat ka pahaD

mere bachche mujhe buDha nahin hone dete

(1443) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Ghazal Mein Tera Charcha Nahin Hone Dete In English By Famous Poet Meraj Faizabadi. Hum Ghazal Mein Tera Charcha Nahin Hone Dete is written by Meraj Faizabadi. Read famous Poem Hum Ghazal Mein Tera Charcha Nahin Hone Dete for youth and Student by Meraj Faizabadi. Free Download Hum Ghazal Mein Tera Charcha Nahin Hone Dete in PDF.