KHaksari Kijiye Ya Shahryari Kijiye

KHaksari kijiye ya shahryari kijiye

hum gharibon mein kuchh apna faiz jari kijiye

jin se kuchh hasil nahin tabir-KHwahi ke siwa

aise KHwabon mein basar kyun raat sari kijiye

jo hamara haal hai us se alag un ka nahin

sakinan-e-shahr se kya parda-dari kijiye

aap jo kahte hain wo karte nahin malum hai

pyar kar sakte nahin baaten to pyari kijiye

aaen bhi tashrif le aaen yahi dastur hai

baiTh kar mere sirhane gham-gusari kijiye

chum kar hum chhoD denge ye guman sachcha nahin

aap apni chah ka patthar na bhaari kijiye

hum yun hi mar jaenge kafi hai ishaara aap ka

aankh ko KHanjar na abru ko kaTari kijiye

kusht-gan-e-KHanjar taslim kahlate hain kyun

kuchh taDap dikhlaiye kuchh be-qarari kijiye

hum bure hain ya bhale mahsus KHud ko bhi na ho

thoDi apne aap se bhi hoshyari kijiye

sarkashan-e-ishq phir aamada-e-fariyaad hain

phir koi farman-e-qatl-e-am jari kijiye

(417) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHaksari Kijiye Ya Shahryari Kijiye In English By Famous Poet Midhat-ul-Akhtar. KHaksari Kijiye Ya Shahryari Kijiye is written by Midhat-ul-Akhtar. Read famous Poem KHaksari Kijiye Ya Shahryari Kijiye for youth and Student by Midhat-ul-Akhtar. Free Download KHaksari Kijiye Ya Shahryari Kijiye in PDF.