Kisi Ka Tha Wo Fusun Jo Kiya Kiya Maine

kisi ka tha wo fusun jo kiya kiya main ne

wo hosh tha ki junun jo kiya kiya main ne

jo ho chuka wahi kafi hai dil dukhane ko

ab aur kuchh na karun jo kiya kiya main ne

mere wajud mein shamil rahe hain kitne wajud

to phir ye kaise kahun jo kiya kiya main ne

har ek sawal pe kitnon ke nam niklenge

koi jawab na dun jo kiya kiya main ne

bahut azim hai dushman karega kaun yaqin

kisi ka nam na lun jo kiya kiya main ne

KHuda ka shukr na bandon ka shukriya wajib

isi fareb mein hun jo kiya kiya main ne

(391) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Ka Tha Wo Fusun Jo Kiya Kiya Maine In English By Famous Poet Midhat-ul-Akhtar. Kisi Ka Tha Wo Fusun Jo Kiya Kiya Maine is written by Midhat-ul-Akhtar. Read famous Poem Kisi Ka Tha Wo Fusun Jo Kiya Kiya Maine for youth and Student by Midhat-ul-Akhtar. Free Download Kisi Ka Tha Wo Fusun Jo Kiya Kiya Maine in PDF.