Main Dhund-fazaon Mein UDa Bhi Hun Gira Bhi

main dhund-fazaon mein uDa bhi hun gira bhi

thi quwwat-e-parwaz bhi aur KHauf-e-qaza bhi

main apne hi zindan-e-tilismi ka zubun tha

har-chand teri shoabada-kari se bacha bhi

lai hai kahan mujh ko tabiat ki do-rangi

duniya ka talabgar bhi duniya se KHafa bhi

pa-basta-e-zanjir-e-hawa chhuT gae hain

mauquf hua silsila-e-qatl-e-nawa bhi

KHwabida lahu bazu-e-parwaz mein jaga

raushan hui dhundlai hui zard faza bhi

aankhen hain magar KHwab se mahrum hain 'midhat'

taswir ka rishta nahin rangon se zara bhi

(430) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Dhund-fazaon Mein UDa Bhi Hun Gira Bhi In English By Famous Poet Midhat-ul-Akhtar. Main Dhund-fazaon Mein UDa Bhi Hun Gira Bhi is written by Midhat-ul-Akhtar. Read famous Poem Main Dhund-fazaon Mein UDa Bhi Hun Gira Bhi for youth and Student by Midhat-ul-Akhtar. Free Download Main Dhund-fazaon Mein UDa Bhi Hun Gira Bhi in PDF.