Na Sud Hai Na Ziyan Hasil-e-wafa Kya Hai

na sud hai na ziyan hasil-e-wafa kya hai

wafa-parast na main hun na wo bura kya hai

koi kisi ko batata nahin hua kya hai

chalo unhin se ye puchhen ki majra kya hai

wahi hai ruh wahi jism kuchh nahin badla

KHayal mein nahin aata ki phir naya kya hai

main apne aap se mayus to nahin lekin

jo aks hi na dikhae wo aaina kya hai

mera wajud sarapa jawab hai kis ka

nahin sawal to phir ye sawal sa kya hai

kise qubul karun kis ko an-suna kar dun

ye aati jati sadaon ka silsila kya hai

na KHud milega na mujh ko kabhi bulaega

is aane jaane mein waise bhi ab raha kya hai

wo mere pas bhi hai mehrban bhi hai mujh par

faqat KHayal hai mera KHayal ka kya hai

(364) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Sud Hai Na Ziyan Hasil-e-wafa Kya Hai In English By Famous Poet Midhat-ul-Akhtar. Na Sud Hai Na Ziyan Hasil-e-wafa Kya Hai is written by Midhat-ul-Akhtar. Read famous Poem Na Sud Hai Na Ziyan Hasil-e-wafa Kya Hai for youth and Student by Midhat-ul-Akhtar. Free Download Na Sud Hai Na Ziyan Hasil-e-wafa Kya Hai in PDF.