Main To Saya Hun GhaTaon Se Utarne Wala

main to saya hun ghaTaon se utarne wala

hai koi pyas ke sahra se guzarne wala

tu samajhta hai mujhe harf-e-mukarrar lekin

main sahifa hun tere dil pe utarne wala

tu mujhe apni hi aawaz ka paband na kar

main to naghma hun fazaon mein bikharne wala

ai badalte hue mausam ke gurezan paikar

aks de ja koi aankhon mein Thaharne wala

main hun diwar pe likkha hua kab se lekin

koi paDhta nahin raste se guzarne wala

ja raha hai tere honTon ki tamanna le kar

zindagi-bhar teri aawaz pe marne wala

(370) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main To Saya Hun GhaTaon Se Utarne Wala In English By Famous Poet Midhat-ul-Akhtar. Main To Saya Hun GhaTaon Se Utarne Wala is written by Midhat-ul-Akhtar. Read famous Poem Main To Saya Hun GhaTaon Se Utarne Wala for youth and Student by Midhat-ul-Akhtar. Free Download Main To Saya Hun GhaTaon Se Utarne Wala in PDF.