Shayad Meri Fariyaad Sunai Nahin Deti

shayad meri fariyaad sunai nahin deti

qudarat jo mujhe hukm-e-rihai nahin deti

tha pahle bahut shor nihan-KHana-e-dil mein

ab to koi siski bhi sunai nahin deti

KHwabon ki tijarat mein yahi ek kami hai

chalti hai dukan KHub kamai nahin deti

har tar-e-nafas hai mutharrik mutwatir

ruKHsat hi mujhe naghma-sarai nahin deti

kya dhund hai ashkon ki musallat dil o jaan par

dekhi hui duniya bhi dikhai nahin deti

chalne ko to sab yar kamar-basta khaDe hain

jis rah pe chalna hai sujhai nahin deti

kanTon pe chalati hai koi aur hi lazzat

wahshat ka sila aabla-pai nahin deti

main qaid-e-mahaalat se dam bhar mein nikal jaun

hasil ki hawas mujh ko rihai nahin deti

main apni hi miTTi se bana leta hun 'midhat'

wo chiz jo auron ki KHudai nahin deti

(524) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shayad Meri Fariyaad Sunai Nahin Deti In English By Famous Poet Midhat-ul-Akhtar. Shayad Meri Fariyaad Sunai Nahin Deti is written by Midhat-ul-Akhtar. Read famous Poem Shayad Meri Fariyaad Sunai Nahin Deti for youth and Student by Midhat-ul-Akhtar. Free Download Shayad Meri Fariyaad Sunai Nahin Deti in PDF.