Tishnagi Apni Bujhane Ke Liye Jab Gae Hain

tishnagi apni bujhane ke liye jab gae hain

dasht bechaare samundar ke tale dab gae hain

kuch karne ki ghaDi hai magar ai ham-safro

hum udhar ja nahin sakte jidhar sab gae hain

ghair shaista-e-adab-e-mohabbat na sahi

hum tere hijr ke aazar mein mar kab gae hain

ab koi aks hai salim na kisi ka chehra

aaina-KHane mein kya dekhne sahab gae hain

koi rasta na mila ghar se nikal kar hum ko

hum usi ku-e-malamat ko gae jab gae hain

teri auqat hi kya 'midhat-ul-aKHtar' sun le

shahr ke shahr zaminon ke tale dab gae hain

(370) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tishnagi Apni Bujhane Ke Liye Jab Gae Hain In English By Famous Poet Midhat-ul-Akhtar. Tishnagi Apni Bujhane Ke Liye Jab Gae Hain is written by Midhat-ul-Akhtar. Read famous Poem Tishnagi Apni Bujhane Ke Liye Jab Gae Hain for youth and Student by Midhat-ul-Akhtar. Free Download Tishnagi Apni Bujhane Ke Liye Jab Gae Hain in PDF.