Na Saqi Hai Na Mina Hai Na Bar Mein Yar-e-jaani Hai

na saqi hai na mina hai na bar mein yar-e-jaani hai

haqiqat mein nahin jite ba-surat zindagani hai

nawazish par mizaj aaya jahan din galiyan lakhon

karam hai aap ka turfa ajaib mehrbani hai

suno Tuk gosh-e-dil se qissa-e-jaan soz ko mere

ki jag-biti nahin hai aap-biti ye kahani hai

abas hai soch tujh ko nama-bar de shauq se mujh ko

koi jhiDki koi gali agar us ki zabani hai

tu apne hath ka chhalla jo har ek se chhupata hai

bata 'afsos' kis parda-nashin ki ye nishani hai

(339) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Saqi Hai Na Mina Hai Na Bar Mein Yar-e-jaani Hai In English By Famous Poet Miir Sher Alii Afsos. Na Saqi Hai Na Mina Hai Na Bar Mein Yar-e-jaani Hai is written by Miir Sher Alii Afsos. Read famous Poem Na Saqi Hai Na Mina Hai Na Bar Mein Yar-e-jaani Hai for youth and Student by Miir Sher Alii Afsos. Free Download Na Saqi Hai Na Mina Hai Na Bar Mein Yar-e-jaani Hai in PDF.