Rah-e-ishq-o-wafa Hai Aur Main Hun

rah-e-ishq-o-wafa hai aur main hun

ye tera naqsh-e-pa hai aur main hun

nigahon mein hai zanjir-e-mohabbat

teri zulf-e-dota hai aur main hun

shab-e-aKHir faza-e-dil mein phaili

KHamoshi ki rida hai aur main hun

yahi hai muKHtasar si apni duniya

ye mera aaina hai aur main hun

wahi hai hijr ki rut ki udasi

wahi qatil hawa hai aur main hun

nazar mein hai koi KHun-rez manzar

koi zaKHmi sada hai aur main hun

KHuda hi jaane hone wala kya hai

teri qatil ada hai aur main hun

mujhe kya lena dena hai jahan se

KHayal-e-dil-ruba hai aur main hun

wahi hai baadiya-paimai apni

wahi aab-o-hawa hai aur main hun

(712) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rah-e-ishq-o-wafa Hai Aur Main Hun In English By Famous Poet Minu Bakshi. Rah-e-ishq-o-wafa Hai Aur Main Hun is written by Minu Bakshi. Read famous Poem Rah-e-ishq-o-wafa Hai Aur Main Hun for youth and Student by Minu Bakshi. Free Download Rah-e-ishq-o-wafa Hai Aur Main Hun in PDF.